Kohsar-e-taghaful Ko Sada KaT Rahi Hai

kohsar-e-taghaful ko sada kaT rahi hai

hairan hun ki patthar ko hawa kaT rahi hai

peshani-e-sahil pe koi nam na ubhre

har mauj samundar ka likha kaT rahi hai

alfaz ki dharti pe hun mafhum-gazida

ab jism pe kaghaz ki qaba kaT rahi hai

har ruh pas-e-parda-e-tartib-e-anasir

na-karda gunahon ki saza kaT rahi hai

fankar ka KHun daman-e-taKHliq pe goya

taswir musawwir ka gala kaT rahi hai

mahjub hain maghrur daraKHton ki qataren

har shaKH ko shamshir-e-ana kaT rahi hai

(770) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kohsar-e-taghaful Ko Sada KaT Rahi Hai In English By Famous Poet Jamuna Parsad Rahi. Kohsar-e-taghaful Ko Sada KaT Rahi Hai is written by Jamuna Parsad Rahi. Read famous Poem Kohsar-e-taghaful Ko Sada KaT Rahi Hai for youth and Student by Jamuna Parsad Rahi. Free Download Kohsar-e-taghaful Ko Sada KaT Rahi Hai in PDF.