Aashiyan Apna Bina Diwar-o-dar Hota Nahin

aashiyan apna bina diwar-o-dar hota nahin

be-murawwat kash ye tera shahar hota nahin

kyun pasheman ho ke tum ne dard-e-dil mujh ko diya

har gunah sangin aisa jaan kar hota nahin

aap ka tha sath to thi zindagi par kya kahen

ab safar aisa hai jis mein ham-safar hota nahin

hai ghazab Dhata ajab ye kar-o-bar-e-intizar

raat guzre tare gin, par din basar hota nahin

aae hain sunte ki aisa waqt bhi aata hai jab

ho dawa ya phir dua kuchh kargar hota nahin

duniya se laD jaiye aasan hai kahna huzur

dekhiye har shaKHs mein itna jigar hota nahin

(1086) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aashiyan Apna Bina Diwar-o-dar Hota Nahin In English By Famous Poet Jatinder Vir Yakhmi 'jayaveer'. Aashiyan Apna Bina Diwar-o-dar Hota Nahin is written by Jatinder Vir Yakhmi 'jayaveer'. Read famous Poem Aashiyan Apna Bina Diwar-o-dar Hota Nahin for youth and Student by Jatinder Vir Yakhmi 'jayaveer'. Free Download Aashiyan Apna Bina Diwar-o-dar Hota Nahin in PDF.