Aaya Nahin Wo Jaur Ka KHugar Tamam Raat

aaya nahin wo jaur ka KHugar tamam raat

taDpa kiya mera dil-e-muztar tamam raat

nind us ke husn-e-ruKH ke tasawwur mein aai thi

dekha hai barq-e-tur ka manzar tamam raat

ye raaz mujh pe shama ke anjam se khula

kaTti hai hijr-e-yar mein kyunkar tamam raat

ai ham-nafas na puchh shab-e-hijr ka azab

aankhon mein kaTni paDi akasr tamam raat

ek hum na un ki yaad mein jhapka sake palak

ek wo ki mahw-e-baada-o-saghar tamam raat

waqt-e-sahar ye jaana ki jage hain hum magar

sota raha hamara muqaddar tamam raat

sincha hai aansuon se bahut naKHl-e-arzu

lekin samar na aa saka 'jauhar' tamam raat

(807) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaya Nahin Wo Jaur Ka KHugar Tamam Raat In English By Famous Poet Jauhar Zahiri. Aaya Nahin Wo Jaur Ka KHugar Tamam Raat is written by Jauhar Zahiri. Read famous Poem Aaya Nahin Wo Jaur Ka KHugar Tamam Raat for youth and Student by Jauhar Zahiri. Free Download Aaya Nahin Wo Jaur Ka KHugar Tamam Raat in PDF.