Ab Dard-e-mohabbat Ko Ai Dil Minnat-kash-e-darman Kaun Kare

ab dard-e-mohabbat ko ai dil minnat-kash-e-darman kaun kare

KHud apne hi hathon ulfat ka barbaad gulistan kaun kare

jab yaad kisi ki aati hai ek barq si lahra jati hai

jab hum hi dard ke KHwahan hon phir dard ka darman kaun kare

is shan-e-taghaful par aaKHir ji chhuT gaya dil TuT gaya

jab dil hi hamara TuT chuka phir aap ko mehman kaun kare

jab barq-e-tapan lahra lahra angDai falak par leti ho

us waqt nasheman kaise bane tazin-e-gulistan kaun kare

ab tark-e-sitam ke kya mani har rose naya gul khilne do

do-chaar daraKHshan daghon se dil rashk-e-gulistan kaun kare

maqsud hai qadr-o-qimat bhi zebaish-e-husn-e-KHuban ki

har KHun ke aansu ko lekin ab lal-e-badaKHshan kaun kare

ab yas ka aalam tari hai ye raat bhi hum par bhaari hai

ai 'jauhar' us ke wadon par ab zist ka saman kaun kare

(925) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Dard-e-mohabbat Ko Ai Dil Minnat-kash-e-darman Kaun Kare In English By Famous Poet Jauhar Zahiri. Ab Dard-e-mohabbat Ko Ai Dil Minnat-kash-e-darman Kaun Kare is written by Jauhar Zahiri. Read famous Poem Ab Dard-e-mohabbat Ko Ai Dil Minnat-kash-e-darman Kaun Kare for youth and Student by Jauhar Zahiri. Free Download Ab Dard-e-mohabbat Ko Ai Dil Minnat-kash-e-darman Kaun Kare in PDF.