Ba-fart-e-shauq Har Gul Mein Tere RuKH Ki Ziya Samjhe

ba-fart-e-shauq har gul mein tere ruKH ki ziya samjhe

agar chaTka koi ghuncha to hum teri sada samjhe

hamein dekho ki kab hum ne bina-e-ashiyan Dali

muKHalif apne jab sare gulistan ki faza samjhe

bil-aKHir aaj mera zabt-e-ulfat rang le aaya

mujhe hi jaannisar-e-ishq-o-jaanbaz-e-wafa samjhe

hamare pas aaya hai moattar jab koi jhonka

use hum be-takalluf tere daman ki hawa samjhe

hamein le aaya is manzil mein tere ishq ka jazba

ki hum har ek zarra mazhar-e-shan-e-KHuda samjhe

samajh se dur hai jaan-dadgan-e-ishq ki manzil

fana ki god mein sarmaya-e-raaz-e-baqa samjhe

na hoga koi hum sa rahraw-e-rah-e-wafa 'jauhar'

hum is manzil ki har aafat ko saman-e-baqa samjhe

(939) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ba-fart-e-shauq Har Gul Mein Tere RuKH Ki Ziya Samjhe In English By Famous Poet Jauhar Zahiri. Ba-fart-e-shauq Har Gul Mein Tere RuKH Ki Ziya Samjhe is written by Jauhar Zahiri. Read famous Poem Ba-fart-e-shauq Har Gul Mein Tere RuKH Ki Ziya Samjhe for youth and Student by Jauhar Zahiri. Free Download Ba-fart-e-shauq Har Gul Mein Tere RuKH Ki Ziya Samjhe in PDF.