Rahraw Se Sarokar Na Manzil Ki KHabar Hai

rahraw se sarokar na manzil ki KHabar hai

diwana-e-ulfat hai ki sargarm-e-safar hai

wan chah nahin milti hai yan chain nahin hai

taskin-e-dil-e-zar idhar hai na udhar hai

zarre hain ki garmae hue nur ke tare

ek barq-e-tapan hai ki teri rahguzar hai

ek ek ada hosh-talab dushman-e-iman

wo yusuf-e-sani ba-KHuda rashk-e-qamar hai

aa mere jahan mein meri duniya ki tamanna

ab meri muradon ka jahan zer-o-zabar hai

gum-gashta-e-manzil hun mohabbat mein kuchh aisa

bikhra hua shiraaza-e-taskin-e-nazar hai

'jauhar' ye gham-e-rah ye dushwari-e-manzil

kahta hai mera dil ki qayamat ka safar hai

(724) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rahraw Se Sarokar Na Manzil Ki KHabar Hai In English By Famous Poet Jauhar Zahiri. Rahraw Se Sarokar Na Manzil Ki KHabar Hai is written by Jauhar Zahiri. Read famous Poem Rahraw Se Sarokar Na Manzil Ki KHabar Hai for youth and Student by Jauhar Zahiri. Free Download Rahraw Se Sarokar Na Manzil Ki KHabar Hai in PDF.