RuKH Hi Badal Diya Hai Gham-e-rozgar Ka

ruKH hi badal diya hai gham-e-rozgar ka

ye hausla hai kis ke dil-e-be-qarar ka

ai baghban na phul ko chuTki se yun masal

yaad aaega bahut hi zamana bahaar ka

ai mere ishq tu hi bata kya jawab dun

wo haal puchhte hain dil-e-be-qarar ka

hum ne tumhaare ishq mein wo dagh khae hain

sine ka dagh dagh hai daman bahaar ka

tera jamal-e-husn ki mera junun-e-ishq

afsane ko na baKHsh de unwan dar ka

dar par nigah hath gareban pe dam-ba-KHud

main ek mujassama hun tere intizar ka

misl-e-kalim husn se chashmak nahin pasand

hum jaante hain jit mein pahlu hai haar ka

kab us ke naqsh-e-pa pe na meri jabin jhuki

'jauhar' raha hai mujh pe karam kirdgar ka

(966) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

RuKH Hi Badal Diya Hai Gham-e-rozgar Ka In English By Famous Poet Jauhar Zahiri. RuKH Hi Badal Diya Hai Gham-e-rozgar Ka is written by Jauhar Zahiri. Read famous Poem RuKH Hi Badal Diya Hai Gham-e-rozgar Ka for youth and Student by Jauhar Zahiri. Free Download RuKH Hi Badal Diya Hai Gham-e-rozgar Ka in PDF.