Tujh Mein Kab Husn-e-bahaar-e-gul Ki Ranai Na Thi

tujh mein kab husn-e-bahaar-e-gul ki ranai na thi

kab tere jalwon ki ek duniya tamashai na thi

zindagi-bhar aarzu ka KHun hi hota raha

lab pe lekin ek din bhi aah tak aai na thi

ye ghalat hai mera sajda wajh-e-ruswai hua

rashk-e-mehrab-e-haram kab teri angDai na thi

ishq hai ek aatish-e-dil-soz mein jalne ka nam

hum ko to roz-e-azal ye baat samjhai na thi

hum rahe hain manzilon hi manzilon mein umr-bhar

jaise qismat mein kisi pahlu shakebai na thi

ek chaman kya do-jahan ki aafaton se dur tha

ghuncha-e-nauras ke lab tak jab hansi aai na thi

kya kahun 'jauhar' jo mere jaan-o-dil par ban gai

maut ka paigham tha ek sham-e-tanhai na thi

(717) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tujh Mein Kab Husn-e-bahaar-e-gul Ki Ranai Na Thi In English By Famous Poet Jauhar Zahiri. Tujh Mein Kab Husn-e-bahaar-e-gul Ki Ranai Na Thi is written by Jauhar Zahiri. Read famous Poem Tujh Mein Kab Husn-e-bahaar-e-gul Ki Ranai Na Thi for youth and Student by Jauhar Zahiri. Free Download Tujh Mein Kab Husn-e-bahaar-e-gul Ki Ranai Na Thi in PDF.