Aaj Lab-e-guhar-fishan Aapne Wa Nahin Kiya

aaj lab-e-guhar-fishan aap ne wa nahin kiya

tazkira-e-KHajista-e-ab-o-hawa nahin kiya

kaise kahen ki tujh ko bhi hum se hai wasta koi

tu ne to hum se aaj tak koi gila nahin kiya

jaane teri nahin ke sath kitne hi jabr the ki the

main ne tere lihaz mein tera kaha nahin kiya

mujh ko ye hosh hi na tha tu mere bazuon mein hai

yani tujhe abhi talak main ne riha nahin kiya

tu bhi kisi ke bab mein ahd-shikan ho ghaaliban

main ne bhi ek shaKHs ka qarz ada nahin kiya

han wo nigah-e-naz bhi ab nahin majra-talab

hum ne bhi ab ki fasl mein shor bapa nahin kiya

(3203) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaj Lab-e-guhar-fishan Aapne Wa Nahin Kiya In English By Famous Poet Jaun Eliya. Aaj Lab-e-guhar-fishan Aapne Wa Nahin Kiya is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Aaj Lab-e-guhar-fishan Aapne Wa Nahin Kiya for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Aaj Lab-e-guhar-fishan Aapne Wa Nahin Kiya in PDF.