Ab Wo Ghar Ek Virana Tha Bas Virana Zinda Tha

ab wo ghar ek virana tha bas virana zinda tha

sab aankhen dam toD chuki thin aur main tanha zinda tha

sari gali sunsan paDi thi baad-e-fana ke pahre mein

hijr ke dalan aur aangan mein bas ek saya zinda tha

wo jo kabutar us mukhe mein rahte the kis des uDe

ek ka nam nawazinda tha aur ek ka bazinda tha

wo dopahr apni ruKHsat ki aisa-waisa dhoka thi

apne andar apni lash uThae main jhuTa zinda tha

thin wo ghar raaten bhi kahani wade aur phir din ginna

aana tha jaane wale ko jaane wala zinda tha

dastak dene wale bhi the dastak sunne wale bhi

tha aabaad mohalla sara har darwaza zinda tha

pile patton ko sah-pahr ki wahshat pursa deti thi

aangan mein ek aundhe ghaDe par bas ek kawwa zinda tha

(2277) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Wo Ghar Ek Virana Tha Bas Virana Zinda Tha In English By Famous Poet Jaun Eliya. Ab Wo Ghar Ek Virana Tha Bas Virana Zinda Tha is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Ab Wo Ghar Ek Virana Tha Bas Virana Zinda Tha for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Ab Wo Ghar Ek Virana Tha Bas Virana Zinda Tha in PDF.