Hum Ji Rahe Hain Koi Bahana Kiye Baghair

hum ji rahe hain koi bahana kiye baghair

us ke baghair us ki tamanna kiye baghair

ambar us ka parda-e-hurmat bana miyan

diwar tak nahin giri parda kiye baghair

yaran wo jo hai mera masiha-e-jaan-o-dil

be-had aziz hai mujhe achchha kiye baghair

main bistar-e-KHayal pe leTa hun us ke pas

subh-e-azal se koi taqaza kiye baghair

us ka hai jo bhi kuchh hai mera aur main magar

wo mujh ko chahiye koi sauda kiye baghair

ye zindagi jo hai use mana bhi chahiye

wada hamein qubul hai ifa kiye baghair

ai qatilon ke shahr bas itni hi arz hai

main hun na qatl koi tamasha kiye baghair

murshid ke jhuT ki to saza be-hisab hai

tum chhoDiyo na shahr ko sahra kiye baghair

un aanganon mein kitna sukun o surur tha

aaraish-e-nazar teri parwa kiye baghair

yaran KHusha ye roz o shab-e-dil ki ab hamein

sab kuchh hai KHush-gawar gawara kiye baghair

girya-kunan ki fard mein apna nahin hai nam

hum girya-kun azal ke hain girya kiye baghair

aaKHir hain kaun log jo baKHshe hi jaenge

tariKH ke haram se tauba kiye baghair

wo sunni bachcha kaun tha jis ki jafa ne 'jaun'

shia bana diya hamein shia kiye baghair

ab tum kabhi na aaoge yani kabhi kabhi

ruKHsat karo mujhe koi wada kiye baghair

(4408) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Ji Rahe Hain Koi Bahana Kiye Baghair In English By Famous Poet Jaun Eliya. Hum Ji Rahe Hain Koi Bahana Kiye Baghair is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Hum Ji Rahe Hain Koi Bahana Kiye Baghair for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Hum Ji Rahe Hain Koi Bahana Kiye Baghair in PDF.