Hum Tera Hijr Manane Ke Liye Nikle Hain

hum tera hijr manane ke liye nikle hain

shahr mein aag lagane ke liye nikle hain

shahr kuchon mein karo hashr bapa aaj ki hum

us ke wadon ko bhulane ke liye nikle hain

hum se jo ruTh gaya hai wo bahut hai masum

hum to auron ko manane ke liye nikle hain

shahr mein shor hai wo yun ki guman ke safari

apne hi aap mein aane ke liye nikle hain

wo jo the shahr-e-tahayyur tere pur-fan meamar

wahi pur-fan tujhe Dhane ke liye nikle hain

rahguzar mein teri qalin bichhane wale

KHun ka farsh bichhane ke liye nikle hain

hamein karna hai KHudawand ki imdad so hum

dair-o-kaba ko laDane ke liye nikle hain

sar-e-shab ek nai tamsil bapa honi hai

aur hum parda uThane ke liye nikle hain

hamein sairab nai nasl ko karna hai so hum

KHun mein apne nahane ke liye nikle hain

hum kahin ke bhi nahin par ye hai rudad apni

hum kahin se bhi na jaane ke liye nikle hain

(2441) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Tera Hijr Manane Ke Liye Nikle Hain In English By Famous Poet Jaun Eliya. Hum Tera Hijr Manane Ke Liye Nikle Hain is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Hum Tera Hijr Manane Ke Liye Nikle Hain for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Hum Tera Hijr Manane Ke Liye Nikle Hain in PDF.