Hum To Jaise Wahan Ke The Hi Nahin

hum to jaise wahan ke the hi nahin

be-aman the aman ke the hi nahin

hum ki hain teri dastan yaksar

hum teri dastan ke the hi nahin

un ko aandhi mein hi bikharna tha

baal o par aashiyan ke the hi nahin

ab hamara makan kis ka hai

hum to apne makan ke the hi nahin

ho teri KHak-e-astan pe salam

hum tere aastan ke the hi nahin

hum ne ranjish mein ye nahin socha

kuchh suKHan to zaban ke the hi nahin

dil ne Dala tha darmiyan jin ko

log wo darmiyan ke the hi nahin

us gali ne ye sun ke sabr kiya

jaane wale yahan ke the hi nahin

(4083) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum To Jaise Wahan Ke The Hi Nahin In English By Famous Poet Jaun Eliya. Hum To Jaise Wahan Ke The Hi Nahin is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Hum To Jaise Wahan Ke The Hi Nahin for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Hum To Jaise Wahan Ke The Hi Nahin in PDF.