Kaam Ki Baat Maine Ki Hi Nahin

kaam ki baat main ne ki hi nahin

ye mera taur-e-zindagi hi nahin

ai umid ai umid-e-nau-maidan

mujh se mayyat teri uThi hi nahin

main jo tha us gali ka mast-e-KHiram

us gali mein meri chali hi nahin

ye suna hai ki mere kuch ke baad

us ki KHushbu kahin basi hi nahin

thi jo ek faKHta udas udas

subh wo shaKH se uDi hi nahin

mujh mein ab mera ji nahin lagta

aur sitam ye ki mera ji hi nahin

wo jo rahti thi dil-mohalle mein

phir wo laDki mujhe mili hi nahin

jaiye aur KHak uDaiye aap

ab wo ghar kya ki wo gali hi nahin

hae wo shauq jo nahin tha kabhi

hae wo zindagi jo thi hi nahin

(4094) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaam Ki Baat Maine Ki Hi Nahin In English By Famous Poet Jaun Eliya. Kaam Ki Baat Maine Ki Hi Nahin is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Kaam Ki Baat Maine Ki Hi Nahin for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Kaam Ki Baat Maine Ki Hi Nahin in PDF.