Mujhko To Gir Ke Marna Hai

mujh ko to gir ke marna hai

baqi ko kya karna hai

shahr hai chehron ki tamsil

sab ka rang utarna hai

waqt hai wo naTak jis mein

sab ko Dara kar Darna hai

mere naqsh-e-sani ko

mujh mein hi se ubharna hai

kaisi talafi kya tadbir

karna hai aur bharna hai

jo nahin guzra hai ab tak

wo lamha to guzarna hai

apne guman ka rang tha main

ab ye rang bikharna hai

hum do pae hain so hamein

mez pe ja kar charna hai

chahe hum kuchh bhi kar len

hum aison ko sudharna hai

hum tum hain ek lamhe ke

phir bhi wada karna hai

(2639) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Mujhko To Gir Ke Marna Hai In English By Famous Poet Jaun Eliya. Mujhko To Gir Ke Marna Hai is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Mujhko To Gir Ke Marna Hai for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Mujhko To Gir Ke Marna Hai in PDF.