Na Hum Rahe Na Wo KHwabon Ki Zindagi Hi Rahi

na hum rahe na wo KHwabon ki zindagi hi rahi

guman guman si mahak KHud ko DhunDhti hi rahi

ajab tarah ruKH-e-aindagi ka rang uDa

dayar-e-zat mein az-KHud guzashtagi hi rahi

harim-e-shauq ka aalam bataen kya tum ko

harim-e-shauq mein bas shauq ki kami hi rahi

pas-e-nigah-e-taghaful thi ek nigah ki thi

jo dil ke chehara-e-hasrat ki tazgi hi rahi

ajib aaina-e-partaw-e-tamanna tha

thi us mein ek udasi ki jo saji hi rahi

badal gaya sabhi kuchh us dayar-e-budash mein

gali thi jo teri jaan wo teri gali hi rahi

tamam dil ke mohalle ujaD chuke the magar

bahut dinon to hansi hi rahi KHushi hi rahi

wo dastan tumhein ab bhi yaad hai ki nahin

jo KHun thukne walon ki be-hisi hi rahi

sunaun main kise afsana-e-KHyal-e-malal

teri kami hi rahi aur meri kami hi rahi

(2805) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Hum Rahe Na Wo KHwabon Ki Zindagi Hi Rahi In English By Famous Poet Jaun Eliya. Na Hum Rahe Na Wo KHwabon Ki Zindagi Hi Rahi is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Na Hum Rahe Na Wo KHwabon Ki Zindagi Hi Rahi for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Na Hum Rahe Na Wo KHwabon Ki Zindagi Hi Rahi in PDF.