Ranj Hai Haalat-e-safar Haal-e-qayam Ranj Hai

ranj hai haalat-e-safar haal-e-qayam ranj hai

subh-ba-subh ranj hai sham-ba-sham ranj hai

us ki shamim-e-zulf ka kaise ho shukriya ada

jab ki shamim ranj hai jab ki masham ranj hai

said to kya ki said-kar KHud bhi nahin ye jaanta

dana bhi ranj hai yahan yani ki dam ranj hai

mani-e-jawedan-e-jaan kuchh bhi nahin magar ziyan

sare kalim hain zubun sara kalam ranj hai

baba alif meri numud ranj hai aap ke ba-qaul

kya mera nam bhi hai ranj han tera nam ranj hai

kasa gadagari ka hai naf-piyala yar ka

bhuk hai wo badan tamam wasl tamam ranj hai

jit ke koi aae tab haar ke koi aae tab

jauhar-e-tegh sharm hai aur niyam ranj hai

dil ne paDha sabaq tamam bud to hai qalaq tamam

han mera nam ranj hai han tera nam ranj hai

paik-e-qaza hai dam-ba-dam 'jaun' qadam qadam shumar

laghzish-e-gam ranj hai husn-e-KHiram ranj hai

baba alif ne shab kaha nashsha-ba-nashsha kar gile

jura-ba-jura ranj hai jam-ba-jam ranj hai

aan pe ho madar kya bud ke rozgar ka

dam hama-dam hai dun ye dam wahm-e-dawam ranj hai

razm hai KHun ka hazar koi bahae ya bahe

rustam o zal hain malal yani ki sam ranj hai

(1912) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ranj Hai Haalat-e-safar Haal-e-qayam Ranj Hai In English By Famous Poet Jaun Eliya. Ranj Hai Haalat-e-safar Haal-e-qayam Ranj Hai is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Ranj Hai Haalat-e-safar Haal-e-qayam Ranj Hai for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Ranj Hai Haalat-e-safar Haal-e-qayam Ranj Hai in PDF.