Shahr-ba-shahr Kar Safar Zad-e-safar Liye Baghair

shahr-ba-shahr kar safar zad-e-safar liye baghair

koi asar kiye baghair koi asar liye baghair

koh-o-kamar mein ham-safir kuchh nahin ab ba-juz hawa

dekhiyo palaTiyo na aaj shahr se par liye baghair

waqt ke marke mein thin mujh ko riayaten hawas

main sar-e-marka gaya apni sipar liye baghair

kuchh bhi ho qatl-gah mein husn-e-badan ka hai zarar

hum na kahin se aaenge dosh pe sar liye baghair

qarya-e-girya mein mera girya hunar-warana hai

yan se kahin Talunga main dad-e-hunar liye baghair

us ke bhi kuchh gile hain dil un ka hisab tum rakho

did ne us mein ki basar us ki KHabar liye baghair

us ka suKHan bhi ja se hai aur wo ye ki 'jaun' tum

shohra-e-shahar ho to kya shahr mein ghar liye baghair

(2019) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shahr-ba-shahr Kar Safar Zad-e-safar Liye Baghair In English By Famous Poet Jaun Eliya. Shahr-ba-shahr Kar Safar Zad-e-safar Liye Baghair is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Shahr-ba-shahr Kar Safar Zad-e-safar Liye Baghair for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Shahr-ba-shahr Kar Safar Zad-e-safar Liye Baghair in PDF.