Shauq Ka Bar Utar Aaya Hun

shauq ka bar utar aaya hun

aaj main us ko haar aaya hun

uf mera aaj mai-kade aana

yun to main kitni bar aaya hun

dosto dost ko sambhaala do

dur se pa-figar aaya hun

saf-e-aKHir se laD raha tha main

aur yahan lash-war aaya hun

wahi dasht-e-azab-e-mayusi

wahin anjam-kar aaya hun

(2763) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Shauq Ka Bar Utar Aaya Hun In English By Famous Poet Jaun Eliya. Shauq Ka Bar Utar Aaya Hun is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Shauq Ka Bar Utar Aaya Hun for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Shauq Ka Bar Utar Aaya Hun in PDF.