Silsila Jumban Ek Tanha Se Ruh Kisi Tanha Ki Thi

silsila jumban ek tanha se ruh kisi tanha ki thi

ek aawaz abhi aai thi wo aawaz hawa ki thi

be-duniyai ne is dil ki aur bhi duniya-dar kiya

dil par aisi TuTi duniya tark zara duniya ki thi

apne andar hansta hun main aur bahut sharmata hun

KHun bhi thuka sach-much thuka aur ye sab chaalaki thi

apne-ap se jab main gaya hun tab ki riwayat sunta hun

aa kar kitne din tak us ki yaad mujhe puchha ki thi

hun saudai saudai sa jab se main ne jaana hai

tai wo rah-e-sar-e-saudai main ne be-sauda ki thi

gard thi begana-gardi ki jo thi nigah meri taham

jab bhi koi surat bichhDi aankhon mein nam-naki thi

hai ye qissa kitna achchha par main achchha samjhun to

ek tha koi jis ne yak-dam ye duniya paida ki thi

(1738) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Silsila Jumban Ek Tanha Se Ruh Kisi Tanha Ki Thi In English By Famous Poet Jaun Eliya. Silsila Jumban Ek Tanha Se Ruh Kisi Tanha Ki Thi is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Silsila Jumban Ek Tanha Se Ruh Kisi Tanha Ki Thi for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Silsila Jumban Ek Tanha Se Ruh Kisi Tanha Ki Thi in PDF.