Socha Hai Ki Ab Kar-e-masiha Na Karenge

socha hai ki ab kar-e-masiha na karenge

wo KHun bhi thukega to parwa na karenge

is bar wo talKHi hai ki ruThe bhi nahin hum

ab ke wo laDai hai ki jhagDa na karenge

yan us ke saliqe ke hain aasar to kya hum

is par bhi ye kamra tah-o-baala na karenge

ab naghma-taraazan-e-bar-afroKHta ai shahr

wasoKHt kahenge ghazal insha na karenge

aisa hai ki sine mein sulagti hain KHarashen

ab sans bhi hum lenge to achchha na karenge

(6113) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Socha Hai Ki Ab Kar-e-masiha Na Karenge In English By Famous Poet Jaun Eliya. Socha Hai Ki Ab Kar-e-masiha Na Karenge is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Socha Hai Ki Ab Kar-e-masiha Na Karenge for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Socha Hai Ki Ab Kar-e-masiha Na Karenge in PDF.