Tiflan-e-kucha-gard Ke Patthar Bhi Kuchh Nahin

tiflan-e-kucha-gard ke patthar bhi kuchh nahin

sauda bhi ek wahm hai aur sar bhi kuchh nahin

main aur KHud ko tujh se chhupaunga yani main

le dekh le miyan mere andar bhi kuchh nahin

bas ek gubar-e-wahm hai ek kucha-gard ka

diwar-e-bud kuchh nahin aur dar bhi kuchh nahin

ye shahr-dar-o-muhtasib-o-maulawi hi kya

pir-e-mughan-o-rind-o-qalandar bhi kuchh nahin

shaiKH-e-haram-luqma ki parwa hai kyun tumhein

masjid bhi us ki kuchh nahin mimbar bhi kuchh nahin

maqdur apna kuchh bhi nahin is dayar mein

shayad wo jabr hai ki muqaddar bhi kuchh nahin

jaani main tere naf-piyale pe hun fida

ye aur baat hai tera paikar bhi kuchh nahin

ye shab ka raqs-o-rang to kya sun meri kuhan

subh-e-shitab-kosh ko daftar bhi kuchh nahin

bas ek ghubar tur-e-guman ka hai tah-ba-tah

yani nazar bhi kuchh nahin manzar bhi kuchh nahin

hai ab to ek jal sukun-e-hameshgi

parwaz ka to zikr hi kya par bhi kuchh nahin

kitna Darawna hai ye shahr-e-nabud-o-bud

aisa Darawna ki yahan Dar bhi kuchh nahin

pahlu mein hai jo mere kahin aur hai wo shaKHs

yani wafa-e-ahd ka bistar bhi kuchh nahin

nisbat mein un ki jo hai aziyyat wo hai magar

shah-rag bhi koi shai nahin aur sar bhi kuchh nahin

yaran tumhein jo mujh se gila hai to kis liye

mujh ko to e'tiraaz KHuda par bhi kuchh nahin

guzregi 'jaun' shahr mein rishton ke kis tarah

dil mein bhi kuchh nahin hai zaban par bhi kuchh nahin

(2253) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tiflan-e-kucha-gard Ke Patthar Bhi Kuchh Nahin In English By Famous Poet Jaun Eliya. Tiflan-e-kucha-gard Ke Patthar Bhi Kuchh Nahin is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Tiflan-e-kucha-gard Ke Patthar Bhi Kuchh Nahin for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Tiflan-e-kucha-gard Ke Patthar Bhi Kuchh Nahin in PDF.