Yaad Use Intihai Karte Hain

yaad use intihai karte hain

so hum us ki burai karte hain

pasand aata hai dil se yusuf ko

wo jo yusuf ke bhai karte hain

hai badan KHwab-e-wasl ka danggal

aao zor-azmai karte hain

us ko aur ghair ko KHabar hi nahin

hum lagai bujhai karte hain

hum ajab hain ki us ki banhon mein

shikwa-e-narasai karte hain

haalat-e-wasl mein bhi hum donon

lamha lamha judai karte hain

aap jo meri jaan hain main dil hun

mujh se kaise judai karte hain

ba-wafa ek dusre se miyan

har-nafas bewafai karte hain

jo hain sarhad ke par se aae

wo bahut KHud-satai karte hain

pal qayamat ke sud-KHwar hain 'jaun'

ye abad ki kamai karte hain

(2796) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yaad Use Intihai Karte Hain In English By Famous Poet Jaun Eliya. Yaad Use Intihai Karte Hain is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Yaad Use Intihai Karte Hain for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Yaad Use Intihai Karte Hain in PDF.