Yaadon Ka Hisab Rakh Raha Hun

yaadon ka hisab rakh raha hun

sine mein azab rakh raha hun

tum kuchh kahe jao kya kahun main

bas dil mein jawab rakh raha hun

daman mein kiye hain jama girdab

jebon mein habab rakh raha hun

aaega wo naKHwati so main bhi

kamre ko KHarab rakh raha hun

tum par main sahifa-ha-e-kohna

ek taza kitab rakh raha hun

(4882) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Yaadon Ka Hisab Rakh Raha Hun In English By Famous Poet Jaun Eliya. Yaadon Ka Hisab Rakh Raha Hun is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Yaadon Ka Hisab Rakh Raha Hun for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Yaadon Ka Hisab Rakh Raha Hun in PDF.