Ye Akasr TalKH-kaami Si Rahi Kya

ye akasr talKH-kaami si rahi kya

mohabbat zak uTha kar aai thi kya

na kasdam hain na afi hain na azhdar

milenge shahr mein insan hi kya

main ab har shaKHs se ukta chuka hun

faqat kuchh dost hain aur dost bhi kya

ye rabt-e-be-shikayat aur ye main

jo shai sine mein thi wo bujh gai kya

mohabbat mein hamein pas-e-ana tha

badan ki ishtiha sadiq na thi kya

nahin hai ab mujhe tum par bharosa

tumhein mujh se mohabbat ho gai kya

jawab-e-bosa sach angDaiyan sach

to phir wo be-wafai jhuT thi kya

shikast-e-e'timad-e-zat ke waqt

qayamat aa rahi thi aa gai kya

(2514) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Akasr TalKH-kaami Si Rahi Kya In English By Famous Poet Jaun Eliya. Ye Akasr TalKH-kaami Si Rahi Kya is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Ye Akasr TalKH-kaami Si Rahi Kya for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Ye Akasr TalKH-kaami Si Rahi Kya in PDF.