Zabt Kar Ke Hansi Ko Bhul Gaya

zabt kar ke hansi ko bhul gaya

main to us zaKHm hi ko bhul gaya

zat-dar-zat ham-safar rah kar

ajnabi ajnabi ko bhul gaya

subh tak wajh-e-jaan-kani thi jo baat

main use sham hi ko bhul gaya

ahd-e-wabastagi guzar ke main

wajh-e-wabastagi ko bhul gaya

sab dalilen to mujh ko yaad rahin

bahs kya thi usi ko bhul gaya

kyun na ho naz is zehanat par

ek main har kisi ko bhul gaya

sab se pur-amn waqia ye hai

aadmi aadmi ko bhul gaya

qahqaha marte hi diwana

har gham-e-zindagi ko bhul gaya

KHwab-ha-KHwab jis ko chaha tha

rang-ha-rang usi ko bhul gaya

kya qayamat hui agar ek shaKHs

apni KHush-qismati ko bhul gaya

soch kar us ki KHalwat-anjumani

wan main apni kami ko bhul gaya

sab bure mujh ko yaad rahte hain

jo bhala tha usi ko bhul gaya

un se wada to kar liya lekin

apni kam-fursati ko bhul gaya

bastiyo ab to rasta de do

ab to main us gali ko bhul gaya

us ne goya mujhi ko yaad rakha

main bhi goya usi ko bhul gaya

yani tum wo ho waqai? had hai

main to sach-much sabhi ko bhul gaya

aaKHiri but KHuda na kyun Thahre

but-shikan but-gari ko bhul gaya

ab to har baat yaad rahti hai

ghaaliban main kisi ko bhul gaya

us ki KHushiyon se jalne wala 'jaun'

apni iza-dahi ko bhul gaya

(4742) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zabt Kar Ke Hansi Ko Bhul Gaya In English By Famous Poet Jaun Eliya. Zabt Kar Ke Hansi Ko Bhul Gaya is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Zabt Kar Ke Hansi Ko Bhul Gaya for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Zabt Kar Ke Hansi Ko Bhul Gaya in PDF.