Charaghon Ke Bujhane Ko Hawa Be-iKHtiyar Aai

charaghon ke bujhane ko hawa be-iKHtiyar aai

gulabon ki mahak bikhri to aawaz-e-sharar aai

bagulon ne safar mein aandhiyon ka aasman dekha

magar ek faKHta apne shajar tak be-ghubar aai

jise tu ne ujala jaan kar chehre pe likkha tha

wahi shohrat teri ruswaiyon ke ham-kanar aai

andheron mein mujhe KHud ek sitara DhunDne aaya

ki shahr be-hunar se ek sada-e-e'tibar aai

meri aankhon mein jitne rang the sab jal gae 'jazib'

magar wo mujh se milne jab bhi aai be-qarar aai

(720) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Charaghon Ke Bujhane Ko Hawa Be-iKHtiyar Aai In English By Famous Poet Jazib Quraishi. Charaghon Ke Bujhane Ko Hawa Be-iKHtiyar Aai is written by Jazib Quraishi. Read famous Poem Charaghon Ke Bujhane Ko Hawa Be-iKHtiyar Aai for youth and Student by Jazib Quraishi. Free Download Charaghon Ke Bujhane Ko Hawa Be-iKHtiyar Aai in PDF.