KHayal Ban Ke Wo Mujh Mein Utar Bhi Aata Hai

KHayal ban ke wo mujh mein utar bhi aata hai

ki rafta rafta dua mein asar bhi aata hai

jise talash hai KHush-rang aabshaaron ki

wo zaKHm zaKHm badan le ke ghar bhi aata hai

charagh ban ke chamakta hun sang-rezo mein

sawad-e-shab mujhe aisa hunar bhi aata hai

na jism-o-jaan ka andhera na raston ka ghubar

jo tu mile to ek aisa safar bhi aata hai

lahu lahu jo raha pattharon ki barish mein

gali gali wahi chehra nazar bhi aata hai

use bhi pyar ke mausam pasand hain 'jazib'

safar ki dhup mein jalne shajar bhi aata hai

(846) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHayal Ban Ke Wo Mujh Mein Utar Bhi Aata Hai In English By Famous Poet Jazib Quraishi. KHayal Ban Ke Wo Mujh Mein Utar Bhi Aata Hai is written by Jazib Quraishi. Read famous Poem KHayal Ban Ke Wo Mujh Mein Utar Bhi Aata Hai for youth and Student by Jazib Quraishi. Free Download KHayal Ban Ke Wo Mujh Mein Utar Bhi Aata Hai in PDF.