Sahra Ki Dhup Mein Bhi Shajar Dekhte Rahe

sahra ki dhup mein bhi shajar dekhte rahe

kya log the dua ka asar dekhte rahe

hum apne jism-o-jaan ko KHizan mein utar kar

gulnar mausamon ke hunar dekhte rahe

barish ki aadaton ka badalna muhaal tha

jalte hue hum apne hi ghar dekhte rahe

jab bhi tere badan ki mahak ham-safar rahi

hum be-charagh shab mein sahar dekhte rahe

ek shahr-e-mah-washan tha ki aankhon ke sath tha

hum phir bhi teri rahguzar dekhte rahe

'jazib' mein tere pyar ki KHwahish shadid thi

'jazib' ko ahl-e-naqd-o-nazar dekhte rahe

(784) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sahra Ki Dhup Mein Bhi Shajar Dekhte Rahe In English By Famous Poet Jazib Quraishi. Sahra Ki Dhup Mein Bhi Shajar Dekhte Rahe is written by Jazib Quraishi. Read famous Poem Sahra Ki Dhup Mein Bhi Shajar Dekhte Rahe for youth and Student by Jazib Quraishi. Free Download Sahra Ki Dhup Mein Bhi Shajar Dekhte Rahe in PDF.