Shikasta Aks Tha Wo Ya Ghubar-e-sahra Tha

shikasta aks tha wo ya ghubar-e-sahra tha

wo main nahin tha jo KHud apne ghar mein rahta tha

ajib shart-e-safar thi mere liye ki mujhe

siyah dhup mein raushan charagh rakhna tha

fasil-e-sang se mujh ko utarne aaya

wo ek sitara jo main ne kabhi na dekha tha

na jaane kaun se mausam mein ji raha tha main

ki meri pyas thi meri na mera dariya tha

shajar ki chhanw se bahar hai rizq tair ka

wo sahilon pe na Thahra kabhi jo pyasa tha

kise pukar raha tha mera adhura-pan

main garm ret pe taza gulab rakhta tha

hazar kam-suKHani darmiyan rahi phir bhi

wo mujh se aan mila tha to rang barsa tha

main bujh gaya to mere jism-o-jaan khule mujh par

charagh aur tha koi jo mujh mein jalta tha

wo apne ghar mein ujala na kar saka 'jazib'

tamam raat jo suraj ke KHwab rakhta tha

(1512) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shikasta Aks Tha Wo Ya Ghubar-e-sahra Tha In English By Famous Poet Jazib Quraishi. Shikasta Aks Tha Wo Ya Ghubar-e-sahra Tha is written by Jazib Quraishi. Read famous Poem Shikasta Aks Tha Wo Ya Ghubar-e-sahra Tha for youth and Student by Jazib Quraishi. Free Download Shikasta Aks Tha Wo Ya Ghubar-e-sahra Tha in PDF.