Takra Rahi Hain Tez Hawaen ChaTan Se

Takra rahi hain tez hawaen chaTan se

bahar na jao apne shikasta makan se

wo raat bhar charagh ki lau dekhta raha

imkan tarashta hai jo apne guman se

azm-e-safar hai dhup ka sahra hai aur main

dariya to sath chhoD gaya darmiyan se

wo mausam-e-KHizan ki thakan hi mein jal gae

bahar khile jo phul tere saeban se

ek umr ho gai hai ki Darta raha hun main

raushan charagh se kabhi andhe makan se

gahre samundaron mein sitara na tha koi

sahil ki sham mil na saki baadban se

diwar aaine ki hai shishe ke baam-o-dar

lekin ghubar uThta hai mere makan se

(798) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Takra Rahi Hain Tez Hawaen ChaTan Se In English By Famous Poet Jazib Quraishi. Takra Rahi Hain Tez Hawaen ChaTan Se is written by Jazib Quraishi. Read famous Poem Takra Rahi Hain Tez Hawaen ChaTan Se for youth and Student by Jazib Quraishi. Free Download Takra Rahi Hain Tez Hawaen ChaTan Se in PDF.