Us Ka Lahja Kitab Jaisa Hai

us ka lahja kitab jaisa hai

aur wo KHud gulab jaisa hai

dhup ho chandni ho barish ho

ek chehra ki KHwab jaisa hai

be-hunar shohraton ke jangal mein

sang bhi aaftab jaisa hai

bhul jaoge KHal-o-KHad apne

aaina bhi sarab jaisa hai

wasl ke rang bhi badalte the

hijr bhi inqalab jaisa hai

yaad rakhna bhi tujh ko sahl na tha

bhulna bhi azab jaisa hai

be-sitara hai aasman tujh bin

aur samundar sarab jaisa hai

(1021) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Us Ka Lahja Kitab Jaisa Hai In English By Famous Poet Jazib Quraishi. Us Ka Lahja Kitab Jaisa Hai is written by Jazib Quraishi. Read famous Poem Us Ka Lahja Kitab Jaisa Hai for youth and Student by Jazib Quraishi. Free Download Us Ka Lahja Kitab Jaisa Hai in PDF.