Gham-ha-e-mohabbat Ka Asar Dekh Raha Hun

gham-ha-e-mohabbat ka asar dekh raha hun

bikhre hue daman pe guhar dekh raha hun

ai husn-e-ruKH-e-yar jidhar dekh raha hun

ek hasb-e-taKHayyul o nazar dekh raha hun

ek nur ki duniya hai meri shauq ki manzil

har zarre ko KHurshid-e-nazar dekh raha hun

tum aur abhi husn ke pardon ko uThao

main aaj had-e-tab-e-nazar dekh raha hun

har aah sharar-KHez hai murghan-e-qafas ki

daman-e-fughan shoala-asar dekh raha hun

yun kakul-o-ruKH apne tasawwur mein hain 'jumbish'

ek marhala-e-sham-o-sahar dekh raha hun

(782) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham-ha-e-mohabbat Ka Asar Dekh Raha Hun In English By Famous Poet Jumbish Khairabadi. Gham-ha-e-mohabbat Ka Asar Dekh Raha Hun is written by Jumbish Khairabadi. Read famous Poem Gham-ha-e-mohabbat Ka Asar Dekh Raha Hun for youth and Student by Jumbish Khairabadi. Free Download Gham-ha-e-mohabbat Ka Asar Dekh Raha Hun in PDF.