KHamushi Hi KHamushi Mein Dastan Banta Gaya

KHamushi hi KHamushi mein dastan banta gaya

mera har aansu mere gham ki zaban banta gaya

aap ka gham jab sharik-e-qalb-o-jaan banta gaya

ashk ka har qatra bahr-e-be-karan banta gaya

zulm TuTa hi kiye qaem rahi shan-e-amal

bijliyan girti rahin aur aashiyan banta gaya

dhire dhire yaad un ki dil mein ghar karti rahi

rafta rafta ishq un ka juzw-e-jaan banta gaya

meri hasti bhi tere jalwon mein gum hoti gai

tera jalwa bhi farogh-e-la-makan banta gaya

rang laya is qadar zauq-e-jabin-e-bandagi

har nishan-e-sajda tera aastan banta gaya

jab tak ai 'jumbish' rahe wo mail-e-lutf-o-karam

har nafas ek zindagi-e-jawidan banta gaya

(806) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHamushi Hi KHamushi Mein Dastan Banta Gaya In English By Famous Poet Jumbish Khairabadi. KHamushi Hi KHamushi Mein Dastan Banta Gaya is written by Jumbish Khairabadi. Read famous Poem KHamushi Hi KHamushi Mein Dastan Banta Gaya for youth and Student by Jumbish Khairabadi. Free Download KHamushi Hi KHamushi Mein Dastan Banta Gaya in PDF.