Ki Ehtiyat Dal Ne Bahut Par Kaha Gaya
ki ehtiyat dal ne bahut par kaha gaya
chhoDi jo un ki rah to dar dar kaha gaya
saqi ne mere nam pe saghar paTak diya
tishna-labi ko mera muqaddar kaha gaya
har chashm-e-iltifat ke husn-e-nigah ko
aaina-e-KHulus ka jauhar kaha gaya
ehsas-e-husn-e-zarf se milti hai aabru
pani ki ek bund ko gauhar kaha gaya
ai subh ki kiran ye KHayalat-e-zindagi
wo baat kaun thi jise ghar ghar kaha gaya
parwaziyon ki sharh nazar tak na kar saki
lekin KHayal-e-tair-e-be-par kaha gaya
nairangiyon ki baat hai ai aariz-e-jamal
shoala dahak uTha to gul-e-tar kaha gaya
'jumbish' sakun-nawaz-mizaji ko chhoDiye
KHamoshi-e-hayat ko akasr kaha gaya
(940) Peoples Rate This