Phul Khilte Hi Agar Panw Mein Chhaale Honge

phul khilte hi agar panw mein chhaale honge

ai junun dasht-nawardi ke bhi lale honge

un pe ho jaenge tamir haqiqat ke mahal

hum ne jo KHwab kabhi zehan mein pale honge

bandagi meri tere dar ki jabin-sai hai

mere sajde tere qadmon ke hawale honge

muskuraata hai har ek zaKHm dil-e-bismil ka

hans ke qatil ne bhi arman nikale honge

ai bahaaran-e-chaman waqt ka ehsas rahe

khil gae phul to kanTon ke hawale honge

inqalab aa hi gaya sehn-e-chaman mein 'jumbish'

ab bahaaron ke bhi andaz nirale honge

(781) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phul Khilte Hi Agar Panw Mein Chhaale Honge In English By Famous Poet Jumbish Khairabadi. Phul Khilte Hi Agar Panw Mein Chhaale Honge is written by Jumbish Khairabadi. Read famous Poem Phul Khilte Hi Agar Panw Mein Chhaale Honge for youth and Student by Jumbish Khairabadi. Free Download Phul Khilte Hi Agar Panw Mein Chhaale Honge in PDF.