Sahra Mein Jo Diwane Se Baad-e-saba Uljhi

sahra mein jo diwane se baad-e-saba uljhi

har mauj-e-gul-e-tar se wo zulf-e-dota uljhi

ilzam nahin tujh par ai baadiya-paimai

diwane ki qismat se sahra ki hawa uljhi

paband-e-nazakat thi nairangi-e-gul-chini

surKHi-e-gul-e-tar se hathon ki hina uljhi

ya husn-e-kashish mein jaan aur aap ne Dali hai

ya shoKHi-e-fitrat hai dar-parda haya uljhi

KHamosh tajalli ki fitrat main samajhta hun

kyun KHirman-e-dil se hi ai barq-e-ada uljhi

dil mein teri yaadon ne wo bijliyan chamkain

aankhon se mari aa kar sawan ki ghaTa uljhi

zamin meri uljhan ke uljhe hue gesu hain

be-wajh meri 'jumbish' kab tab-e-rasa uljhi

(683) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sahra Mein Jo Diwane Se Baad-e-saba Uljhi In English By Famous Poet Jumbish Khairabadi. Sahra Mein Jo Diwane Se Baad-e-saba Uljhi is written by Jumbish Khairabadi. Read famous Poem Sahra Mein Jo Diwane Se Baad-e-saba Uljhi for youth and Student by Jumbish Khairabadi. Free Download Sahra Mein Jo Diwane Se Baad-e-saba Uljhi in PDF.