Sukun Paya Tabiat Ne Na Dil Ko Hi Qarar Aaya

sukun paya tabiat ne na dil ko hi qarar aaya

jo aansu aankh mein aaya baDa be-e'tibar aaya

kisi ka bankpan sare zamane mein pukar aaya

chamak aankhon mein aai nok-e-mizhgan par nikhaar aaya

muqaddar apna apna hai gul-o-shabnam ki wadi mein

koi hansta hua aaya to koi ashk-bar aaya

mujhe kya wasta hai aap ke husn-e-taKHyyul se

meri aankhon pe jab aaya mere KHwabon ko pyar aaya

teri be-iltifati ko KHuda rakhe ki ai saqi

sharab-e-gham se hum tishna-labon par bhi KHumar aaya

hue hain rang-o-bu dast-o-gareban aise gulshan mein

nasim-e-subh ka daman bhi ho kar tar tar aaya

dhuan jo be-kason ki aah ka uTTha to ai 'jumbish'

chaman wale pukar uTThe ki wo abr-e-bahaar aaya

(969) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sukun Paya Tabiat Ne Na Dil Ko Hi Qarar Aaya In English By Famous Poet Jumbish Khairabadi. Sukun Paya Tabiat Ne Na Dil Ko Hi Qarar Aaya is written by Jumbish Khairabadi. Read famous Poem Sukun Paya Tabiat Ne Na Dil Ko Hi Qarar Aaya for youth and Student by Jumbish Khairabadi. Free Download Sukun Paya Tabiat Ne Na Dil Ko Hi Qarar Aaya in PDF.