Zindagi Maut Ke Aaghosh Se Paida Karna

zindagi maut ke aaghosh se paida karna

Dub kar bahr mein tufan se khela karna

aae rona bhi to hansne ka irada karna

josh-e-gham mein na kabhi zabt se guzra karna

dekhna shauq ki fitrat ko na ruswa karna

chashm-e-mushtaq yunhi un ka nazara karna

rang laega ajab jalwa-gah-e-mahshar mein

zauq-e-didar mera aap ka parda karna

mauj-e-fitrat ka har andaz hai taKHrib-shiar

ai chaman-zar bahaaron se na rishta karna

bahut aasan tha rabbi-arini kah dena

koi aasan na tha jalwon ka nazara karna

chaak-damani-e-gul bar-sar-e-meraj-e-bahaar

hai junun-KHez ada hosh ka dawa karna

sikhiye uqda-kushai ki adaen 'jumbish'

na hua kuchh bhi ye taqdir ka shikwa karna

(1012) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zindagi Maut Ke Aaghosh Se Paida Karna In English By Famous Poet Jumbish Khairabadi. Zindagi Maut Ke Aaghosh Se Paida Karna is written by Jumbish Khairabadi. Read famous Poem Zindagi Maut Ke Aaghosh Se Paida Karna for youth and Student by Jumbish Khairabadi. Free Download Zindagi Maut Ke Aaghosh Se Paida Karna in PDF.