Ab KHak To Kiya Hai Dil Ko Jala Jala Kar

ab KHak to kiya hai dil ko jala jala kar

karte ho itni baaten kyun tum bana bana kar

aashiq ke ghar ki tum ne buniyaad ko biThaya

ghairon ko pas apne har dam biTha biTha kar

ye bhi koi sitam hai ye bhi koi karam hai

ghairon pe lutf karna hum ko dikha dikha kar

ai but na mujh ko hargiz kuche se ab uThana

aaya hun yan talak main zalim KHuda KHuda kar

deta hun main idhar ji apna taDap taDap kar

dekhe hai wo udhar ko aankhen chura chura kar

koi aashna nahin hai aisa ki ba-wafa ho

kahte ho tum ye baaten hum ko suna suna kar

jalta tha sina mera ai shama tis pe tu ne

duni lagai aatish aansu baha baha kar

ek hi nigah kar kar sine se le gaya wo

har-chand dil ko rakkha hum ne chhupa chhupa kar

jurat ne aaKHir apne ji ko bhi ab ganwaya

in be-murawwaton se dil ko laga laga kar

(1260) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab KHak To Kiya Hai Dil Ko Jala Jala Kar In English By Famous Poet Jurat Qalandar Bakhsh. Ab KHak To Kiya Hai Dil Ko Jala Jala Kar is written by Jurat Qalandar Bakhsh. Read famous Poem Ab KHak To Kiya Hai Dil Ko Jala Jala Kar for youth and Student by Jurat Qalandar Bakhsh. Free Download Ab KHak To Kiya Hai Dil Ko Jala Jala Kar in PDF.