Ai Dila Hum Hue Paband-e-gham-e-yar Ki Tu

ai dila hum hue paband-e-gham-e-yar ki tu

ab aziyyat mein bhala hum hain giraftar ki tu

hum to kahte the na aashiq ho ab itna to bata

ja ke hum rote hain pahron pas-e-diwar ki tu

hath kyun ishq-e-butan se na uThaya tu ne

kaf-e-afsos hum ab malte hain har bar ki tu

wahi mahfil hai wahi log wahi hai charcha

ab bhula baiThe hain hum shakl-e-gunahgar ki tu

hum to kahte the ki lab se na laga saghar-e-ishq

mai-e-andoh se ab hum hue sarshaar ki tu

be-jagah ji ka phansana tujhe kya tha darkar

tan o tashnia ke ab hum hain saza-war ki tu

wahshat-e-ishq buri hoti hai dekha nadan

hum chale dasht ko ab chhoD ke ghar-bar ki tu

aatish-e-ishq ko sine mein abas bhaDkaya

ab bhala khinchun hun main aah-e-sharar-bar ki tu

hum to kahte the na hamrah kisi ke lag chal

ab bhala hum hue ruswa sar-e-bazar ki tu

ghaur kije to ye mushkil hai zamin ai 'jurat'

dekhen hum is mein kahen aur bhi ashaar ki tu

(964) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ai Dila Hum Hue Paband-e-gham-e-yar Ki Tu In English By Famous Poet Jurat Qalandar Bakhsh. Ai Dila Hum Hue Paband-e-gham-e-yar Ki Tu is written by Jurat Qalandar Bakhsh. Read famous Poem Ai Dila Hum Hue Paband-e-gham-e-yar Ki Tu for youth and Student by Jurat Qalandar Bakhsh. Free Download Ai Dila Hum Hue Paband-e-gham-e-yar Ki Tu in PDF.