Amal Kuchh Aisa Kiya Adu Ne Ki Ishq Baham Laga ChhuDaya

amal kuchh aisa kiya adu ne ki ishq baham laga chhuDaya

ilahi chhuT jaen us ki nabzen milap jis ne mera chhuDaya

na baiThe aaram se wo gahe uThae nit dukh pe dukh KHudaya

ki jis ne nahaq uTha ke bohtan apna wan baiThna chhuDaya

ilahi mahrum rakhiyo us ko mudam lazzat-e-do-jahan se

asir-e-dam-e-firaq kar mujh ko jis ne mera maza chhuDaya

na dosti ka use mile phal na koi marbut howe us se

ki jis ne kar dushmani KHudaya jo rabt aapas mein tha chhuDaya

urus-e-giti samajh ke us ko zalil hargiz na munh lagawe

ilahi aqd-e-mohabbat us se ye jis ne mera bandha chhuDaya

chhuTe gareban us ka gahe na panja-e-ranj se KHudaya

ki daman-e-wasl hath apne se jis ne us shoKH ka chhuDaya

ilahi zindan-e-gham se pawe na jite-ji wo kabhi rihai

ki jis ke bahkae se ab us ne dil apna hum se phansa chhuDaya

lahu jo mushtaq wasl ka tha chhuTa na qadmon se us ke hargiz

agarche dho dho ke us ne kitna ba-shakl-e-rang-e-hina chhuDaya

kahe hai 'jurat' yahi ba-takrar dard-e-hijran se hath mal mal

ilahi chhuT jaen us ki nabzen milap jis ne mera chhuDaya

(939) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Amal Kuchh Aisa Kiya Adu Ne Ki Ishq Baham Laga ChhuDaya In English By Famous Poet Jurat Qalandar Bakhsh. Amal Kuchh Aisa Kiya Adu Ne Ki Ishq Baham Laga ChhuDaya is written by Jurat Qalandar Bakhsh. Read famous Poem Amal Kuchh Aisa Kiya Adu Ne Ki Ishq Baham Laga ChhuDaya for youth and Student by Jurat Qalandar Bakhsh. Free Download Amal Kuchh Aisa Kiya Adu Ne Ki Ishq Baham Laga ChhuDaya in PDF.