Ba-chaman Ab Wo Kiya Chahe Hai Mai-nosh Guzar

ba-chaman ab wo kiya chahe hai mai-nosh guzar

jald ai paik-e-saba gul ke ye kar gosh-guzar

nahin malum kahan jate hain jun nashsha-e-mai

jidhar in rozon mein hum karte hain madhosh guzar

bazm mein mujh ko jo dekha to ye jhunjhla ke kaha

aisi mahfil mein kare hai meri pa-posh guzar

sar-nigun kucha-e-ruswai mein hain aaj talak

sau KHarabi se jo is dar pe kiya dosh guzar

aashiq us parda-nashin ke hain ki gar samne se

kabhi guzre hai to karta hai wo ru-posh guzar

chand roza hai ye mai-KHana-e-hasti yan to

umr ghaflat mein na ai be-KHirad-o-hosh guzar

aa phansa ishwa-o-andaz-o-ada mein yun dil

rahzanon mein kare jun rah-faramosh guzar

ham-safar hain to ye hasrat hai ki kije koson

ek sawari mein hue us se ham-aghosh guzar

qadr-dan koi suKHan ka na raha ai 'jurat'

kunj-e-tanhai mein auqat tu KHamosh guzar

(1307) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ba-chaman Ab Wo Kiya Chahe Hai Mai-nosh Guzar In English By Famous Poet Jurat Qalandar Bakhsh. Ba-chaman Ab Wo Kiya Chahe Hai Mai-nosh Guzar is written by Jurat Qalandar Bakhsh. Read famous Poem Ba-chaman Ab Wo Kiya Chahe Hai Mai-nosh Guzar for youth and Student by Jurat Qalandar Bakhsh. Free Download Ba-chaman Ab Wo Kiya Chahe Hai Mai-nosh Guzar in PDF.