BaiThe To Pas Hain Par Aankh UTha Sakte Nahin

baiThe to pas hain par aankh uTha sakte nahin

ji laga hai pa abhi hath laga sakte nahin

dur se dekh wo lab kaTte hain apne honTh

hai abhi pas-e-adab honTh hila sakte nahin

takte hain us qad o ruKHsar ko hasrat se aur aah

bhench kar KHub sa chhati se laga sakte nahin

dil to in panw pe loTe hai mera waqt-e-KHiram

shab ko duzdi se bhi par un ko daba sakte nahin

chor se raat khaDe rahte hain is dar se lage

par jo matlub hai wo jins chura sakte nahin

rijhte un ki adaon pe hain kya kya lekin

mare andeshe ke gardan bhi hila sakte nahin

dekh rahte hain wo aaina-e-zanu us ka

par kisi shakl se zanu ko bhiDa sakte nahin

qaede kya hamein malum nahin ulfat ke

be-kam-o-kast magar un ko paDha sakte nahin

chipke tak rahte hain rang us ka bhabuka sa hum

aah par dil ki lagi apni bujha sakte nahin

kya ghazab hai ki wahi bole to bole az-KHud

hum unhen kyun ki bulawen ki bula sakte nahin

garche ham-KHana hain 'jurat' pa hamare aise

baKHt soe ki kahin sath sula sakte nahin

(962) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

BaiThe To Pas Hain Par Aankh UTha Sakte Nahin In English By Famous Poet Jurat Qalandar Bakhsh. BaiThe To Pas Hain Par Aankh UTha Sakte Nahin is written by Jurat Qalandar Bakhsh. Read famous Poem BaiThe To Pas Hain Par Aankh UTha Sakte Nahin for youth and Student by Jurat Qalandar Bakhsh. Free Download BaiThe To Pas Hain Par Aankh UTha Sakte Nahin in PDF.