Barham Kabhi Qasid Se Wo Mahbub Na Hota

barham kabhi qasid se wo mahbub na hota

gar nam hamara sar-e-maktub na hota

KHuban-e-jahan ki hai tere husn se KHubi

tu KHub na hota to koi KHub na hota

islam se bargashta na hote ba-KHuda hum

gar ishq-e-butan taba ke marghub na hota

kyun pher wo deta mujhe le kar mere bar se

itna jo dil-e-zar ye mayub na hota

is but ko KHuda laya hai hum pas wagarna

jine ka hamare koi uslub na hota

dil aaj ke din pas jo hota mere to aah!

aane se main us shoKH ke mahjub na hota

hain lazim-o-malzum baham husn o mohabbat

hum hote na talib jo wo matlub na hota

sar apna rah-e-ishq mein deta jo na 'jurat'

tu majma-e-ushshaq ka sarkub na hota

(936) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Barham Kabhi Qasid Se Wo Mahbub Na Hota In English By Famous Poet Jurat Qalandar Bakhsh. Barham Kabhi Qasid Se Wo Mahbub Na Hota is written by Jurat Qalandar Bakhsh. Read famous Poem Barham Kabhi Qasid Se Wo Mahbub Na Hota for youth and Student by Jurat Qalandar Bakhsh. Free Download Barham Kabhi Qasid Se Wo Mahbub Na Hota in PDF.