Dar Tak Ab ChhoD Diya Ghar Se Nikal Kar Aana

dar tak ab chhoD diya ghar se nikal kar aana

ya wo raaton ko sada bhes badal kar aana

hamdamo ye koi rona hai ki tufan hai aah

dekhiyo chashm se dariya ka ubal kar aana

qasd jab jaane ka karta hun main us shoKH ke pas

tegh-e-abru ye kahe hai ki sambhal kar aana

hasil us kuche mein jaane se hamein hai aur kya

ulTe ghar apne magar KHak mein ral kar aana

wan se awwal dil-e-be-tab tu kab aata hai

aur aana bhi to sau ja pe machal kar aana

hamdamo meri sifarish ko to jate ho wale

kahin wan ja ke na kuchh aur KHalal kar aana

Dube yun bahr-e-mohabbat mein ki ab jite-ji

apna dushwar hai upar ko uchhal kar aana

ku-e-qatil mein dam-e-naza koi le jao

ja ke us ja hamein uqda hai ye hal kar aana

us ka be-wajh nahin hai ye chaman se bahar

gul mere samne hathon mein masal kar aana

bazm-e-KHuban mein agarche koi parchae hazar

par tere pas hamein wan se bhi Tal kar aana

ji chala tan se mere jald ze-rah-e-ashfaq

ghar se do chaar qadam aise mein chal kar aana

'jurat' us ki kahun kya tujh se tarah-dari main

jaana jab uTh ke tab ek rup badal kar aana

(888) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dar Tak Ab ChhoD Diya Ghar Se Nikal Kar Aana In English By Famous Poet Jurat Qalandar Bakhsh. Dar Tak Ab ChhoD Diya Ghar Se Nikal Kar Aana is written by Jurat Qalandar Bakhsh. Read famous Poem Dar Tak Ab ChhoD Diya Ghar Se Nikal Kar Aana for youth and Student by Jurat Qalandar Bakhsh. Free Download Dar Tak Ab ChhoD Diya Ghar Se Nikal Kar Aana in PDF.