Dard Apna Main Isi Taur Jata Rahta Hun

dard apna main isi taur jata rahta hun

hasb-e-haal us ko kai sher suna rahta hun

ek hi ja rahne ka hai ghar pa usi ghar mein aah

dil ye rahta hai juda aur main juda rahta hun

baat mein kis ki sunun aah ki ai murgh-e-chaman

shor mein apne hi nalon ke sada rahta hun

bare itna hai asar dard ke afsane mein

ek do shaKHs ko har roz rula rahta hun

bazm-e-KHuban mein ye sar go kaTe rone pe mera

shama-san ashk par aankhon se baha rahta hun

aah-o-nala mein agar kuchh bhi asar hai mere

to main us shoKH ko ek roz bula rahta hun

husn aur ishq ka kya zikr karun mat puchho

in dinon zist se bhi apni KHafa rahta hun

dil laga jab se mera aah tabhi se 'jurat'

kitni hi aafaten har roz uTha rahta hun

(861) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dard Apna Main Isi Taur Jata Rahta Hun In English By Famous Poet Jurat Qalandar Bakhsh. Dard Apna Main Isi Taur Jata Rahta Hun is written by Jurat Qalandar Bakhsh. Read famous Poem Dard Apna Main Isi Taur Jata Rahta Hun for youth and Student by Jurat Qalandar Bakhsh. Free Download Dard Apna Main Isi Taur Jata Rahta Hun in PDF.