Dil Ko Ai Ishq Su-e-zulf-e-siyah-fam Na Bhej

dil ko ai ishq su-e-zulf-e-siyah-fam na bhej

rahzanon mein tu musafir ko sar-e-sham na bhej

dekh ho jaunga ghairon ke gale ka main haar

haar phulon ke tu ai shoKH-gul-andam na bhej

bhar nazar surat-e-gul dekh to len ai be-dard

hae sayyaad abhi hum ko tah-e-dam na bhej

jab wo bheje hai mujhe mai to kahen hain yun ghair

ye bahak jaega bas aur ise jam na bhej

bhejun us pas jo qasid ko dobara to kahe

baz aaya, nahin lene ka main inam na bhej

kucha-e-yar mein pahunche hain to bas rahne de

jite-ji yan se kahin gardish-e-ayyam na bhej

dam-ba-dam bheje hai quliyan hi ko kya munh se laga

lab se bhi lab ko mila bosa-ba-paigham na bhej

baad muddat ke tujhe paya hai tanha ba-KHuda

aaj tu kaam ko yan se but-e-KHud-kaam na bhej

de kabhi bosa-e-chashm-o-lab-e-jaan-baKHsh bhi jaan

sirf saughat hamein bosa-ba-paigham na bhej

galiyan to hain mohabbat ki ibarat pyare

kab main kahta hun ki likh kar mujhe dushnam na bhej

par ye dhaDka hai ki jawe na kahin KHat pakDa

kar ke sar-name pe tahrir mera nam na bhej

'jurat' ab tujh se wo ruTha to mana kyunki main laun

tu hi phir dene lagega mujhe ilzam na bhej

(1448) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ko Ai Ishq Su-e-zulf-e-siyah-fam Na Bhej In English By Famous Poet Jurat Qalandar Bakhsh. Dil Ko Ai Ishq Su-e-zulf-e-siyah-fam Na Bhej is written by Jurat Qalandar Bakhsh. Read famous Poem Dil Ko Ai Ishq Su-e-zulf-e-siyah-fam Na Bhej for youth and Student by Jurat Qalandar Bakhsh. Free Download Dil Ko Ai Ishq Su-e-zulf-e-siyah-fam Na Bhej in PDF.