Guzar Is Hujra-e-gardun Se Ho Kidhar Apna

guzar is hujra-e-gardun se ho kidhar apna

qaid-KHana hai ajab gumbad-e-be-dar apna

shakl rahne ki hai basti mein ye us bin apni

jaise jangal mein banata hai koi ghar apna

shab ki be-tabiyan kya kahiye ki dekha jo sahar

TukDe TukDe nazar aaya hamein bistar apna

ham-nashin us ko jo lana hai to la jald ki hum

thame baiThe rahen kab tak dil-e-muztar apna

wo gae din ki sada mai-kada-e-hasti mein

baada-e-aish se labrez tha saghar apna

tab-e-nazzara teri lae na KHurshid zara

hath jab tak ki na rakh le wo jabin par apna

denge sar ishq ke saude mein agarche hum ko

is mein nuqsan nazar aata hai sarasar apna

hai zamin KHub ghazal-dar-ghazal is ko kahiye

bas ki mamul hai 'jurat' yahi akasr apna

(1465) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Guzar Is Hujra-e-gardun Se Ho Kidhar Apna In English By Famous Poet Jurat Qalandar Bakhsh. Guzar Is Hujra-e-gardun Se Ho Kidhar Apna is written by Jurat Qalandar Bakhsh. Read famous Poem Guzar Is Hujra-e-gardun Se Ho Kidhar Apna for youth and Student by Jurat Qalandar Bakhsh. Free Download Guzar Is Hujra-e-gardun Se Ho Kidhar Apna in PDF.