Har-chand Bhare Dil Mein Hain Lakhon Hi Gile Par

har-chand bhare dil mein hain lakhon hi gile par

kya kahiye ki khulta nahin munh waqt mile par

be-dard wo aisa hai ki marham ki jagah hae

chhiDke hai namak mere har ek zaKHm chhile par

ta dil ko na washud ho to kya lutf mile hae

khilti hai jo bu ghuncha-e-gul ki to khile par

mashhur jawani mein ho wo kyun na jagat-baz

mailan-e-tabiat tha laDakpan se zile par

hum gulshan-e-hairat mein hain parwaz kahan ki

jun bulbul-e-taswir kabhi Tuk na hile par

sun wasf-e-dahan dijiye kuchh munh se piyare

mujh shaer-e-muflis ki hai guzran sile par

kis munh se bayan kijiye wo lutf ki 'jurat'

dushnam jo wan milti hain Tuk aankh mile par

(1219) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har-chand Bhare Dil Mein Hain Lakhon Hi Gile Par In English By Famous Poet Jurat Qalandar Bakhsh. Har-chand Bhare Dil Mein Hain Lakhon Hi Gile Par is written by Jurat Qalandar Bakhsh. Read famous Poem Har-chand Bhare Dil Mein Hain Lakhon Hi Gile Par for youth and Student by Jurat Qalandar Bakhsh. Free Download Har-chand Bhare Dil Mein Hain Lakhon Hi Gile Par in PDF.